Monday, May 18, 2009

Gham ka khazana - Jagjit Singh,Lyrics

Jagjit:
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi (2)
Both:
Yeh nazarana tera bhi hai mera bhi

Lata:
Apne gham ka geet bana kar gaa lena (2)
Raag puraana tera bhi hai mera bhi (2)
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Jagjit:
Tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Lata:
Tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Jagjit:
Dil deewana tera bhi hai mera bhi
Lata:
Dil deewana tera bhi hai mera bhi
Both:
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Lata:
Shahar mein galiyon galiyon jiska charcha hai (2)
Woh afsaana tera bhi hai mera bhi
Jagjit:
Maikhane ki baat na kar waiz mujhse (2)
Aana jaana tera bhi hai mera bhi
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Lata:
Yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
Both:
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Kahin kahin se har chehra - Jagjit Singh,Lyrics

Kahin kahin se har chehra - 2
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai
Oh ho, oh oh, oh ho ho ho, oh

Aisa bhi ek rang hai, mm mm mm, oh oh
Aisa bhi ek rang hai
Jo karta hai baatein bhi
Jo bhi isko pehn le
Voh apna sa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai

Sa sa sa ga ga ga ga pa pa pa, aah - 2
Re re re re re ma
Ma pa ga, ga ma re, re ga sa

Aur to sab kuch theek hai lekin - 2
Kabhi kabhi yunhi chalta phirta shaher
Achaanak, achaanak tanha lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai

Abhi yun milte hain humse phool chameli
Jaise inse apna koi - 2
Rishta lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai
Oh ho, aah aah aah, oh ho ho ho ho, oh
Oh oh, aah aah aah aah

Friday, May 15, 2009

Sham se ankh mein nami si hai - Jagjit Singh,Lyrics

Sham se ankh mein nami si hai,
Aajh phir aapki kami si hai.

Dafan kar do hamein ki sans mile,
Nabj kuch der se thami si hai;
Sham se aankh mein nami si hai.

Waqt rahta nahi kanhi tik kar,
Iski aadat bhi aadmi si hai;
Aajh phir aapki kami si hai.

Koi rishta nahi raha phir bhi,
Ek tasveer lajmi si hai.(2)

Sham se ankh me nami si hai,
Aajh phir aapki kami si hai

Tuesday, May 12, 2009

Khuda kare ke mohabbat - Sanam -Pankaj Udhas,Lyrics

Khuda kare...
Khuda kare ke mohabbat mein voh makaam aaye…
Khuda kare ke mohabbat mein voh makaam aaye,
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye,
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye…
Khuda kare ho oo....
Koi mita na sake dil ke is fasane ko...
Koi mita na sake dil ke is fasane ko,
Karoon main yaad tujhe bhool ke jamane ko,
Uthe jo meri nazar tera hi salaam aaye....
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye,
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye...
Khuda kare ho oo...
Deewanepan ka nasha saari umar na utre...
Deewanepan ka nasha saari umar na utre,
Wafa ki bandgi mein apni zindagi gujre,
Deewane dil ki tadap kuch to tere kaam aaye....
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye,
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye...
Khuda kare ke mohabbat mein voh makaam aaye,
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye,
Mere labon pe hamesha sanam ka naam aaye...
Khuda kare ho oo..

Hindi

हिंदी में -
खुदा करे...
खुद करे के मोहब्बत में वो मकाम आये…
खुदा करे के मोहब्बत में वो मकाम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
खुद करे……हो ओ...
कोई मिटा न सके दिल के इस फसाने को…
कोई मिटा न सके दिल के इस फसाने को,
करुँ मैं याद तुझे भूल के जमाने को
उठे जो मेरी नजर तेरा ही सलाम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
खुदा करे… हो ओ...
दीवानेपन का नशा सारी उमर ना उतरे…।

दीवानेपन का नशा सारी उमर ना उतरे
वफ़ा कि बन्दगी में अपनी जिन्दगी गुजरे,
दिवाने दिल कि तडप कुछ तो तेरे काम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
खुदा करे के मोहब्बत में वो मकाम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
मेरे लबों पे हमेशा सनम का नाम आये,
खुदा करे… हो ओ...

Monday, May 11, 2009

Chandi jaisa rang hai tera - Pankaj Udhas,Lyrics

Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal (2)

Jis raste se tu gujre, voh phoolon se bhar jaye (2)
Tere pair ki komal aahat sote bhaag jagaye
Jo patthar choo le gori tu voh heera ban jaye
Tu jisko mil jaye voh (2) ho jaye malamal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal

Jo be-rang ho us par kya kya rang jamate log (2)
Tu naadaan na jane kaise roop churate log
Nazaren bhar bhar dekhen tujhko aate jaate log
Chail chabeeli rani thoda, (2)
Ghoonghat aur nikaal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal

Dhanak ghata kaliyan aur tare sub hain tere roop (2)
Ghazalen hon ya geet hon mere sub mein tera roop
Yunhi chamakti rahe hamesha tere husn ki dhoop
Tujhe nazar na lage kisi ki (2)
Jiye hazaron saal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal
Chandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Ek tuhi dhanvaan hai gori, baaki sub kangaal (2)

Friday, May 8, 2009

Kiska chehra ab main dekhoon - Jagjit Singh,Lyrics

Chaand bhi dekha
Phool bhi dekha
Baadal bijli titli jugnu
Koi nahin hai aisa
Tera husn hai jaisa
Tera husn hai jaisa

Meri nigaah ne ye kaisa khwaab dekha hai
Zameen pe chalta hua mahathab dekha hai

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Choodi bindiya darpan khushboo
Koi nahin hai aisa
Tera pyaar hai jaisa
Tera pyaar hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rasta manzil saahil mehfil
Koi nahin hai aisa
Tera saath hai jaisa
Tera saath hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Bahut khoobsuat hai aankhein tumhaari
Bana dijiye inko kismat hamari
Usay aur kya chaahiye zindagi mein
Jise mil gayi mohabbat tumhari

Badi naazuk hai ye manzil - Jagjit Singh,Lyrics

Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai -2
Dhadak aahista se, eh dil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Koyi sun le na ye qissa, bahot darr lagta hai -2
Magar darr hi se kya haasil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Bataana bhi nahin aasaan, chhupaana bhi kathhin hai -2
Khud aaya kis qadar mushkil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Oh…
Ujaale dil ke phaile hain, chale aao na jaanam
Chale aao... na jaanam
Bahot hi pyaar ke qaabil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai -2
Dhadak aahista se eh dil, eh dil, eh dil
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Thursday, May 7, 2009

Apani marzi se kaha apne-Jagjit Singh,Lyrics

Apani marzi se kaha apne safar ke hum he,(2)
Rukh hawa ka zidhar ka he,Udhar ke hum he.

Apani marzi se kaha apne safar ke hum he,

Pahele har cheez thi apani,Magar ab lagta he,(2)
Apane hi ghar me kisi dusre ghar ke hum he,(2)

Rukh hawa ka zidhar ka he,Udhar ke hum he.
Apani marzi se kaha apne safar ke hum he,

Waqt ke sath he mitti ka safar sadiyon se,(3)
Kisko malum kaha ke he kidhar ke hum he,(2)

Rukh hawa ka zidhar ka he,Udhar ke hum he.
Apani marzi se kaha apne safar ke hum he,

Chalte rahete he ke chalna he,Musafir ka naseeb,(2)
Sochte rahete he kis rah guzar ke hum he,(2)

Rukh hawa ka zidhar ka he,Udhar ke hum he.
Apani marzi se kaha apne safar ke hum he(2)

Tera chehra he aaine jaisa-Jagjit singh,Lyrics

Tera chehra he aaine jesa,
Kyo na dekhu he dekhne jesa,

Tum kaho to me puchlu tum se,(3)
He sawal ek Puchne jesa,(3)

Tera chehra he aaine jesa,

Dost mil jayenge kai lekin,(3)
Na milega koi mere jesa,(2)

Tera chehra he aaine jesa,

Tum achanak mile the jab pahele,(3)
Pal nahi he woh bhulne jesa,(2)

Tera chehra he aaine jesa.

Wednesday, May 6, 2009

Ye Daulat Bhi Le Lo - Aaj,Jagjit Singh

ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
bhale chhin lo mujhase meri javaani
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz ki kashti, vo baarish kaa paani

jagjeet:
muhalle ki sabase nishaani puraani
vo budhiyaa jise bachche kahate the naani
vo naani ki baaton men pariyon kaa deraa
vo chehare ki jhuriryon men sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahin bhuul sakataa hai koi
vo chhoti si raaten vo lambi kahaani

chitraa:
kadi dhoop men apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa, vo bul-bul, vo titali pakadanaa
vo gudiyaa ki shaadi men ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa, vo gir ke sambhalanaa
vo pital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tooti hui chudiyon ki nishaani

jagjeet:
kabhi ret ke unche tilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa, banaake mitaanaa
vo maasuum chaahat ki tasveer apani
vo khwaabon khilaunon ki jaagir apani
na duniyaa kaa gham thaa na rishton ke bandhan
badi khoobasurat thi vo zindagaani
****************************************
ये दौलत भी ले लो, ये शोहरत भी ले लो
भले छीन लो मुझसे मेरी जवानी
मगर मुझको लौटा दो बचपन का सावन
वो कागज़ की कश्ती, वो बारिश का पानी

जग्जीत:
मुहल्ले की सबसे निशानी पुरानी
वो बुढ़िया जिसे बच्चे कहते थे नानी
वो नानी की बातों में परियों का डेरा
वो चेहरे की झुरिर्यों में सदियों का फेरा
भुलाए नहीं भूल सकता है कोई
वो छोटी सी रातें वो लम्बी कहानी

चित्रा:
कड़ी धूप में अपने घर से निकलना
वो चिड़िया, वो बुलबुल, वो तितली पकड़ना
वो गुड़िया की शादी में लड़ना झगड़ना
वो झूलों से गिरना, वो गिर के सम्भलना
वो पीतल के छल्लों के प्यारे से तोहफ़े
वो टूटी हुई चूड़ियों की निशानी

जग्जीत:
कभी रेत के ऊँचे टीलों पे जाना
घरौंदे बनाना, बनाके मिटाना
वो मासूम चाहत की तस्वीर अपनी
वो ख़्वाबों खिलौनों की जागीर अपनी
न दुनिया का ग़म था न रिश्तों के बंधन
बड़ी खूबसूरत थी वो ज़िंदगानी

Template by - Abdul Munir | Daya Earth Blogger Template