Monday, May 18, 2009

Gham ka khazana - Jagjit Singh,Lyrics

Jagjit:
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi (2)
Both:
Yeh nazarana tera bhi hai mera bhi

Lata:
Apne gham ka geet bana kar gaa lena (2)
Raag puraana tera bhi hai mera bhi (2)
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Jagjit:
Tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Lata:
Tu mujhko aur main tujhko samjhaaoon kya
Jagjit:
Dil deewana tera bhi hai mera bhi
Lata:
Dil deewana tera bhi hai mera bhi
Both:
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Lata:
Shahar mein galiyon galiyon jiska charcha hai (2)
Woh afsaana tera bhi hai mera bhi
Jagjit:
Maikhane ki baat na kar waiz mujhse (2)
Aana jaana tera bhi hai mera bhi
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
Lata:
Yeh nazarana tera bhi hai mera bhi
Both:
Gham ka khazana tera bhi hai mera bhi

Template by - Abdul Munir | Daya Earth Blogger Template